Khuda shanaash hain aalam panaah Shah Niyaz
Falak asaas hain aalam panaah Shah Niyaz
Unheen ki simt nigahein hain kul zamaane ki
Sabhon ki aas hain aalam panaah Shah Niyaz
Nazar panhuch naheen sakti hai unki rifat par
Ke be qayaas hain aalam panaah Shah Niyaz
Unheen ke dar pe to bat ti hai marifat ki sharrab
Ke haq shanaash hain aalam panaah Shah Niyaz
Main 'Raaz' shaan-e-Siraaji ka aein mazhar hoon
Ke mere paas hain Aalam Panah Shah Niyaz
~ Hazrat Shah Muhammad Taqi Aziz Miyan Sahab R.A.

.jpg)


